Wednesday 18 May 2011

sahir ludhianvi a great poet

Aurat ne janam diya mardoon ko, mardoon ne ussay bazar diya
jab ji chaha masla kuchla, jab ji chaha dhutkaar diya

tulti hai kahain dinaroo main, bikti hai kahin baazaron main
nachwai jati hai eyyashon k darbaroon main
ye wo be izzat cheez hai jo batt jati hai izzat daron main
Aurat ne janam diya mardoon ko, mardoon ne ussay bazar diya

mardoon k liye her zulm rawa, aurat k liye rona bhi khata
mardoon k liye her aeesh ka haq, aurat k liye jeena bhi saza
mardoon k liye lakhon saijain, aurat k liye bas aik chitta
Aurat ne janam diya mardoon ko, mardoon ne ussay bazar diya

jin seenon ne un ko doodh diya un seenon ka beopaar kiya
jis kokh main un ka jism dhala us kokh ka karobar kiya
jis tan se uggay konpal ban kar us tan ko zaleel o khwar kiya
Aurat ne janam diya mardoon ko, mardoon ne ussay bazar diya

sansaar ki her ik be sharmi ghurbat ki goodh main palti hai
chaklon hi main aaker rukti hai, faqoon se jo rah nikalti hai
mardoon ki hawas hai jo akser aurat k paap main dhalti hai
Aurat ne janam diya mardoon ko, mardoon ne ussay bazar diya

aurat sansar ki qismat hai phr bhi taqdeer ki beti hai
autaar payamber janti hai phr bhi shaitaan ki beti hai
ye wo bad qismat maa hai jo baitoon ki saij pe layti hai
Aurat ne janam diya mardoon ko, mardoon ne ussay bazar diya

0 comments:

Post a Comment