Saturday 11 June 2011

Use apne farda ki fikar thi wo jo mera waqif-e-haal tha

http://www.hamaraphotos.com/hollywood/wp-content/uploads/2007/07/captivity-elisha-cuthbert.jpgUse apne farda ki fikar thi wo jo mera waqif-e-haal tha
Wo jo uski subha urooj thi wahi mera waqt-e-zawal tha
Mera dard kese wo jaanta meri baat kese wo maanta
wo to khud fana k safar me tha use rokna bhi mohal tha
Wo jo is k samne agaya wahi roshni me naha gaya
Ajab iski hebat thi ajab iska rang-e-jamaal tha
Dame wapsi are kiya hua na wo roshni na wo tazgi
Wo sitara kese bikhar gaya wo to aap apni misaal tha
Kahan jao gay mujhe chor kar me ye puch puch k thakh gaya
Wo jawab mujhko na de saka wo to khud sarapa sawal tha
Wo mila to sadyon k baad bhi mere lab pe koi gila na tha
Use meri chup ne rula diya jise guftagu me kamaal tha
Wo jo mujh se mil k ro diya faqat itna hi mujhe keh saka
jise janta tha me zindagi wo to sirf wehm-o-khayal tha..

4 comments: