Saturday 11 June 2011

Gaye Dino Ka Suragh Le Kar. Kidhar Se Aaya Kidhar Gaya Woh

http://t1.gstatic.com/images?q=tbn:ANd9GcSB8mT2luy8x-UJKnZmStJor2khb6JeMrIsMTKzJQsLn_cE-aEMoQ&t=1Gaye Dino Ka Suragh Le Kar. Kidhar Se Aaya Kidhar Gaya Woh
Ajeeb Manoos Ajnabi Tha Mujhey To Heran Kar Gaya Woh

Bas Aik Moti Si Chubh Dikha Kar. Bas Aik Meethi Si Dhun Suna Kar
Sitara-e-Shaam Ban K Aaya. Barang Khuwab-e-Sehar Gaya Woh

Khushi Ki Rut Ho K Gham K Mausam Nazar usay Dhoondhti Hai Har Dam
Woh Boo-e-Gul Tha K Naghma-e-Jaan Meray To Dil Mein Utar Gaya Woh

Na Ab Woh Yaadon Ka Charhta Darya. Na Fursaton Ki Udas Barkha
Yun Hi Zara Si Kasak Hai Dil Mein. Jo Zakhm Gehra Tha Bhar Gaya Woh

Kuch Ab Sambhalnay Lagi Hai Jaan Bhi. Badal Chala Rang Aasmaan Bhi
Jo Raat Bhari Thi Tal Gayi Hai Jo Din Kara Tha Guzar Gaya Woh

Shakista Pa Rah Mein Khara Hon. Gaye Dino Ko Bula Raha Hon
Jo Qafla Mera Hum Safar Tha. Misal-e-Gird Safar Gaya Woh

Woh MaiKaday Ko Jaganay Wala. Woh Raat Ki Neend Ki Uranay Wala
Ye Aaj Kia Us K Jee Mein Aayi K Sham Hotay Hi Ghar Gaya Woh

Woh Jis K Shanay Pe Hath Rakh Kar Safar Kia Tu Ne Manzilon Ka
Teri Gali Se. Na Janay Kiyon. Aaj Sir Jhukaye Guzar Gaya Woh

Woh HijR Ki Raat Ka Sitara. Woh Hum Nafas. Hum Sukhan Hamara

Sada Rahay Us Ka Naam Pyara. Suna Hai Kal Raat Mar Gaya Woh

Woh Raat Ka BeNawa Musafir. Woh Tera Shayar. Woh Tera NASIR
Teri Gali Tak To Hum Ne Dekha Tha. Phir Na Janay Kidhar Gaya Woh

0 comments:

Post a Comment