Monday, 13 June 2011

mai ne es tor se chaha tujhay aksar jana

http://dark.pozadia.org/images/wallpapers/18384923/Gothic%20Girls/Ultimate%20Goodbye.jpgmai ne es tor se chaha tujhay aksar jana
jese mehtaab ko be-annt samander chahy
jese soraj ki kiran seep k dil mai uteray
jese khushbu ko hawa, rang se hut ker chahy

jese pather k kalejay se kiran phut'ti hai
jese gunchay khilay mosam se hina mangtay hain
jese khawabon mai khayalon ki kama'n tot'ti hai
jese barish ki dua ablaa pa mangtay hain

mera her khwaab mere such ki gawahi de ga
wusaat-e-deed ne tujh se teri khwahish ki hai
meri sochon mai kabhi dekh sarapa apna
mai ne duniya se alag teri parastish ki hai

khwahish-e-deed ka mosam kabhi dundhla jo hoa
noch dalean hain zamanu ki naqabean mai ne
teri palkon pe uterti hoi subhon k liye
tor dalean hain sitaron ki tanaabean mai ne

mai ne chaha k tere husan ki gulnaar fiza
meri gazlon ki kitaaeron se dehkti jaye
mai ne chaha k mere funn k gulistaan k bahar
teri ankhon k gulaabon se mehkti jaye

tay to ye tha k sajata rahy lafzon k kanwal
mere khamosh khyalon mai taklum tera
raqas kerta rahy, bherta rahy khushbu ka khumaar
meri khwahish k jaziron mai tabasum tera

tu mager ajnabi mahol ki perwerda kiran
meri bhujti hoe raton ko sahar ker na saki
teri ankhon mai masihaaie thi, lekin tu bhi
chara-e-zakham-e-gam-e-deed-e-ter, ker na saki

tujh ko ehsaas hi kab hai k kisi dard ka daag
ankh se dil mai uter jaye to kia hota hai
tu k simaab tabiyt hai, tujhy kia maloom
mosam-e-hijer theher jaye to kia hota hai

tu ne us mor pe tora hai taluq, k jahan
dekh sakta nahi koi bhi palat ker jana
ab ye aalm hai k ankhean jo khulean gi apni
yaad aye ga teri deed ka manzer jana
muj se mangay ga tere ehad-e-muhabt ka hisab
tere hijran ka dehkta hoa mehsher jana
yun mere dil k muqabil tera ghum aya hai
jese sheshy k muqabil koi pather jana
jese mehtaab ko be annt samnder chahay
mai ne es tor se chaha tujhy akser jana

5 comments: