Showing posts with label sad poetry. Show all posts
Showing posts with label sad poetry. Show all posts

Saturday, 30 July 2016

aey dost hun ney tark e taaluq k baad bhi

Hoti hai tere naam se wehshat kabhi kabhi,
Barham huyi hai yuun bhi tabiyat kabhi kabhi,
Tere qareeb reh kar bhi dil mutmayin na tha,
Guzri hai mujh pe yeh bhi qayamat kabhi kabhi,
Kuch apna hosh tha na tumhara khayal tha,
Yuun bhi guzar gayi shab-e-furqat kabhi kabhi,
Ae dost hum ne tark-e-mohabbat ke bawjood,
Mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi kabhi..

Wednesday, 7 January 2015

Halaat K Qadmon Par Qalandar Nahi Girta

Halaat K Qadmon Par Qalandar Nahi Girta,

Toote Jo Bhi Tara To Zameen Par nahi Girta,

Girte Hain Bare Shoq Se Samandar Mein Daria,

Lakin Kisi Daria Mein Samandar Nahi Girta,

Samjho Wahan Phaldar Shajar Koi Nahi Hai,

Wo Sehan K Jis Mein Koi Pathar Nahi Girta,

Hairan Hai Kai Roz Se Thehra Howa Pani,

Talaab Mein Ab Kion Koi Kankar Nahi Girta,

Is Banda-E-Khudar Pe Nabion Ka Hai Saya,

Jo Bhook Mein Bhi Luqma-E-Tar Par Nahi Girta,

Qaiam Hai Ab Ye Mere Sir K Saton Par qateel

Bhonchal Bhi Aaye To Mera Ghar Nahi Girta............

Udas Sham Kisi Khawab Mein Dhali To Hai

Udas Sham Kisi Khawab Mein Dhali To Hai,

Yehi Bahut Hai K Taza Hawa Chali To Hai,

Jo Apni Shaq Se Bahar Abhi Nahi Aai,

Nai Bahar Ki Zameen Wohi Kali To Hai

Dhowan To Jhoot Nahi Bolta Kabhi Yaro,

Humare Shaher Mein Basti Koi Jali To Hai,

Kisi K Ishq Mein Hum Jan Se Gaye Lekin,

Humare Naam Se Rasm-e-Wafa Chali To Hai,

Hazar Band Hon Dair-O-Haram K Darwaze,

Mere Liye Mere Mehboob Ki Gali To Hai........................!

Tum Bin Jiya Jaye Kaise

Tum Bin Jiya Jaye Kaise,

Kaise Jiya Jaye Tum Bin,

Sadion Si Lambi Hain Ratain,

Sadion Se Lambe Howay Din,

Aa Jao Lout Kar Tum Ye Dil Keh Raha Hai,

Phir Sham-E-Tanhai Jagi,

Phir Yad Tum Aa Rahe Ho,

Phir Jan Nikalne Lagi Hai,

Phir Mujh Ko Tarpa Rahe Ho,

Is Dil Mein Yadon K Mele Hain,

Tum Bin Bahut Hum Akele Hain.

Kia Kia Na Socha Tha Main Ne,

Kia Kia Na Sapne Sajaye,

Kia Kia Na Chaha Tha Dil Ne,

Kia Kia Na Arman Jagaye,

Is Dil Se Toofan Guzarte Hain,

Tum Bin To Jeete Na Marte Hain,

Aa Jao Lout Kar Tum Ye Dil Keh Raha Hai,

Tum Bin Jiya Jaye Kaise,

Kaise Jiya Jaye Tum Bin..............!

Reply to Ibn e insha's Insha g utho ab kooch kro

Ye Kis Ne Kaha Tum Kooch Karo Batein Na Banao Insha Jee,

Shehr Tumhara Apna Hai Isay Chor Na Jao Insha Jee,

Jitne Bhi Yahan K Baasi Hain Sab K Sab Tum Se Pyar Karein,

Kia In Se Bhi Moonh Phero Gay,?

Ye Zulam Na Dhao Insha Jee,

Kia Soch K Tum ney Sainchi Thi,

Ye Kaisi Kiyari Chahat Ki,

Jin Ko Hansane Aaye Thay,

Unko Na Rulao Insha Jee,

Laakh Siyahat K Ho Dhani,

Ek Bat Humari Maano,

Koi Ja K Jahan Se Aata Nahi,

Us Deis Na Jao Insha Jee,

Bikhairte Ho Sona Harfon Ka,

Tum Chandi Jaise Kaghazon Par,

Phir In Mein Apne Zakhmon Ka,

Mat Zehr Milao Insha Jee,

Rat To Kia Wo Hashar Talak Rakhe Gi Khula Darwaze Ko,

Kab Lout K Tum Ghar Aao Gay Sajni Ko Batao Insha Jee,

Nahi Sirf QATEEL Ki Bat Yahan Kahein SAHIR Hai Kahein Aali Hai,

Tum Apne Purane Yaron Daman Na Churao Insha Jee...............!


Ye Mojza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhe

Ye Mojza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhe,

K Sang Tujh Pe Gire Aur Zakham Aaye Mujhe,

Main Ghar Se Teri Tamana Pehn K Jab Niklon,

Barhna Shehr Mein Koi Nazar Na Aaye Mujhe,

Wohi To Sab Se Ziada Hai Nuqta Cheen Mera,

Jo Muskara K Humesha Gale Lagaye Mujhe,

Wo Mera Dost Hai Sare Jahan Ko Hai Maloom,

Dagha Kare Wo Kisi Se To Sharm Aaye Mujhe,

Main Apni Zaat Mein Neelaam Ho Raha Hoon Qateel

Gham-E-Hayat Se Keh Do Khareed Laye Mujhe...............!

Sar-E-Toor Ho Sar-E-Hashar Ho

Sar-E-Toor Ho

Sar-E-Hashar Ho


Humain Intazar Qabool Hai


Wo Kabhi Milein,

Wo Kahein Milein,


Wo Kabhi Sahi,

Wo Kahein Sahi,


Mera Un Pe Jo Bas Nahi

To Na Sahi,


K Ye Aashqi Hai Hawas Nahi,


Main Unhi Ka Tha,

Unhi Ka Hon,


Wo Mere Nahi To Na Sahi,

Jo Ho Faisla Wo Sunaiye,


Isay Hashar Pe Na Uthaiye,

Jo Karein Gay Aap Sitam Wahan,


Wo Abhi Sahi,

Wo Yahein Sahi,


Usay Dekhne Ki Jo Lo Lagi,

To Dekh Hi Lein Gay QATEEL Hum,


Wo Hazar Aankh Se Door Hon,

Wo Hazar Parda Nasheen Sahi.............!

Kab Talak Shamma Jali Yaad Nahi

Kab Talak Shamma Jali Yaad Nahi


Shaam-e-Gham Kaisay Dhali Yaad Nahi,


Is Qadar Yad Hai Apne Thay Sabhi,


Kis Ne Kia Chaal Chali Yad Nahi,


Hum Zamane Mein Kuch Aise Bhatke,


Ab To Un Ki Bhi Gali Yad Nahi,


Abar Tha Jaam Tha Par Aap Na Thay,


Wo Ghari Kaise Tali Yad Nahi,


Kat Gai Umar Kis Tarha Qateel,


Wo Buri Thi K Bhali Yad Nahi.............!

Phir uski har adaa sey chalakney lga khaloos


main qaabil e nafrat hun



Koi taveez ho rad e blaa ki


Ja mohabbat tjhey maaf kia


Chahat itni mukhtasir jana


Tuesday, 6 January 2015

Khawabon Ki Ek Basti Thi

Khawabon Ki Ek Basti Thi

Ek Larki Us Mein Basti Thi

Apne Ghar K Aangan Mein

Kuch Sapne Boya Karti Thi

Apne Kamre Ki Khirki Mein,

Boondon Se Khela Karti Thi,

Sab K Samne Hansti Thi,

Chup Chup K Roya Kati Thi,

Khud Se Kurhti Rehti Thi,

Sakhion Se Kuch Na Kehti Thi,

Chand Ko Ghanton Ghoorte Rehna,

Phir Khud Se Baten Karti Thi,

Dekhne wali Sab Aankhon Ko,

Kaanch Ki Guria Lagti Thi,

Toot Chuki To Sab Ne Jana,

Pyar Wo Kisi Se Karti Thi................!

Kuliat-E-Insha

Tamam Log Akele Thay Rahbar Hi Na Tha

Tamam Log Akele Thay Rahbar Hi Na Tha,

Bichrne Walon Mein Ek Mera Hum Safar Hi Na Tha,

Barhana Shakhon Ka Jangal Garra Tha Aankhon Mein,

Wo Rat Thi K Kahein Chand Ka Guzar Hi Na Tha,

Tumhare Shehr Ki Chaon Mehrbaan Thi Magar,

Jahan Pe Dhoop Karri Thi Wahan Shajar Hi Na Tha,

Samet Leti Shikasta Gulab Ki Khushbo,

Hawa K Hath Mein Aisa Koi Hunar Hi Na Tha,

Main Itne Sanpon Ko Raste Mein Dekh Aai Thi

K Tere Shehr Mein Pohnchi To Koi Dar Hi Na Tha,

Kahan Se Aati Kiran Zindagi K Zindaan Mein,

Badan Mein Phail Gia Surkh Beil Ki Manid,

Wo Zakham Sookhta Kia Jis Ka Chara Gar Hi Na Tha

Hawa K Laye Howay Beej Phir Hawa Ko Gaye,

Khile Thay Phool Kuch Aise K Jin Mein Zar Rahi Na Tha,

Qadam To Reit Pe Sahil Ne Bhi Na Rakhne Dia,

Badan Ko Jakre Howay Sirf Ek Bhanwar Hi Na Tha....!