Tuesday, 6 January 2015

Tamam Log Akele Thay Rahbar Hi Na Tha

Tamam Log Akele Thay Rahbar Hi Na Tha,

Bichrne Walon Mein Ek Mera Hum Safar Hi Na Tha,

Barhana Shakhon Ka Jangal Garra Tha Aankhon Mein,

Wo Rat Thi K Kahein Chand Ka Guzar Hi Na Tha,

Tumhare Shehr Ki Chaon Mehrbaan Thi Magar,

Jahan Pe Dhoop Karri Thi Wahan Shajar Hi Na Tha,

Samet Leti Shikasta Gulab Ki Khushbo,

Hawa K Hath Mein Aisa Koi Hunar Hi Na Tha,

Main Itne Sanpon Ko Raste Mein Dekh Aai Thi

K Tere Shehr Mein Pohnchi To Koi Dar Hi Na Tha,

Kahan Se Aati Kiran Zindagi K Zindaan Mein,

Badan Mein Phail Gia Surkh Beil Ki Manid,

Wo Zakham Sookhta Kia Jis Ka Chara Gar Hi Na Tha

Hawa K Laye Howay Beej Phir Hawa Ko Gaye,

Khile Thay Phool Kuch Aise K Jin Mein Zar Rahi Na Tha,

Qadam To Reit Pe Sahil Ne Bhi Na Rakhne Dia,

Badan Ko Jakre Howay Sirf Ek Bhanwar Hi Na Tha....!

0 comments:

Post a Comment