Showing posts with label Amjad Islam Amjad. Show all posts
Showing posts with label Amjad Islam Amjad. Show all posts

Wednesday, 19 February 2014

Sambhalne De Mujhe Ae Naumidi

Sambhalne De Mujhe Ae Naumidi, Kya Qayamat Hai !
Keh Damane Khayale-Yar, Chuta Jaye Hai Mujh Se

Sunday, 5 August 2012

Khvaab-nagar hai aaNkheN khole dekh rahaa huuN

Khvaab-nagar hai aaNkheN khole dekh rahaa huuN
us ko apnii jaanib aate dekh rahaa huuN

(Khvaab-nagar : city of dreams)

kis kii aahaT qarya qarya phail rahii hai
diivaaroN ke rang badalte dekh rahaa huuN

(qarya : villages and town)

kaun mire jaaduu se bach kar jaa saktaa hai!
aaiinaa huuN, sab ke chehre dekh rahaa huuN

darvaaze par tez havaaoN kaa pahraa hai
ghar ke andar chup ke saaye dekh rahaa huuN

jaise meraa chehraa mere dushman kaa ho
aaiine meN Khud ko aise dekh rahaa huuN

manzar manzar viiraanii ne jaal taane haiN
gulshan gulshan bikhre patte dekh rahaa huuN

manzil manzil hol meN Duubii aavaazeN haiN
rastaa rastaa Khauf ke pahre dekh rahaa huuN

shah’r sangdlaal (?) meN “Amjad” har raste par
aavaazoN ke patthar chalte dekh rahaa huuN

Amjad Islam Amjad

Monday, 20 June 2011

uljhan tamaan umr ye taar-e-nafas meN thii !

uljhan tamaan umr ye taar-e-nafas meN thii !
dil kii muraad aashiquii meN yaa havas meN thii !

(taar-e-nafas : in every breath; muraad : aashiquii : love; desire; havas : lust)

dar thaa khulaa, pe baiThe rahe par sameT kar
karte bhii kyaa ke jaa-e-amaaN hii qafas meN thii !

(dar : door; par : feathers; jaa-e-amaaN : place of safety; qafas : prison)

sakte meN sab chiraaGh the, taare the dam-baKhud !
maiN us ke iKhtiyaar meN vo mere bas meN thii

(sakte meN : in trance; taare : stars; dam-baKhud : stunned)

ab ke bhii jamii hu’ii hai ye aaNkhoN ke saamne
KhvaaboN kii aik dhuNdh jo picchle baras meN thii

(dhuNdh : fog; baras : year)

kal shab to us kii bazm meN aise lagaa mujhe !
jaise ke kaaynaat merii das-taras meN thii

(shab : night; bazm : gathering; kaaynaat : universe; das-taras : within hand’s reach)

mehfil meN aasmaaN kii, bole ke chup rahe
“Amjad” sadaa zamiin isii pesh-o-pas meN thii

(zamiin : earth; pesh-o-pas : indecision)

Saturday, 11 June 2011

a great ghazal

Khud Apne Liye baith K Sochein Ge Kisi Din...........
Youn Hai K Thujhe Bhool K Dekhein Ge Kisi DIn.....

Bhatake huwe Phirate hain kai lafz jo dil mein.......

Duniya ne diya Waqt to likhein ge kisii din.............

Hil jayein ge ik baar to arshoun ke Dar-o-Baam....

Ye Khaak nashein log jo bolein ge kisii din............

Aapas ki kisi baat ka milta hi nahein Waqt............

Har baat ye kehte hain k baithein ge kisi din.........

Aae jaan teri yaad ke be-naam parinde................

Shaa'khon pe mere dard ki utarein ge kisi din.......

Jaati hai kisi jheel ki gehrai kahan tak..................

Aankhoun mein teri Doob ke dekhein ge kisi din....

Khushbu se bhari shaam mein jugnu ke qalam se

ik nazm tere vaaste likhein ge kisi din..................

Soyein ge teri Aankh ki Khlvat mein kisi raat........

Saaye mein teri zulf ke jagein ge kisi din.............

Khushbuu ki tarah, asl-e-sabaa Khaak numa se...

Galiyoun se tere shehar ki guzarein ge kisi din.....

Hai yehi ab ke kafan baandh k sar se..................

Us Shehar-e-Sitam gaar mein jayein ge kisi din..

Amjad hai yehi ab ke kafan baandh k sar se
Us Shehar-e-Sitam gaar mein jayein ge kisi din

Thursday, 2 June 2011