Monday, 20 June 2011

uljhan tamaan umr ye taar-e-nafas meN thii !

uljhan tamaan umr ye taar-e-nafas meN thii !
dil kii muraad aashiquii meN yaa havas meN thii !

(taar-e-nafas : in every breath; muraad : aashiquii : love; desire; havas : lust)

dar thaa khulaa, pe baiThe rahe par sameT kar
karte bhii kyaa ke jaa-e-amaaN hii qafas meN thii !

(dar : door; par : feathers; jaa-e-amaaN : place of safety; qafas : prison)

sakte meN sab chiraaGh the, taare the dam-baKhud !
maiN us ke iKhtiyaar meN vo mere bas meN thii

(sakte meN : in trance; taare : stars; dam-baKhud : stunned)

ab ke bhii jamii hu’ii hai ye aaNkhoN ke saamne
KhvaaboN kii aik dhuNdh jo picchle baras meN thii

(dhuNdh : fog; baras : year)

kal shab to us kii bazm meN aise lagaa mujhe !
jaise ke kaaynaat merii das-taras meN thii

(shab : night; bazm : gathering; kaaynaat : universe; das-taras : within hand’s reach)

mehfil meN aasmaaN kii, bole ke chup rahe
“Amjad” sadaa zamiin isii pesh-o-pas meN thii

(zamiin : earth; pesh-o-pas : indecision)

0 comments:

Post a Comment