Monday, 20 June 2011

puuchaa kisii ne haal kisii kaa to ro diye

puuchaa kisii ne haal kisii kaa to ro diye
paanii meN aks chaaNd kaa dekhaa to ro diye

naGhmaa kisii ne saaz par chheRaa to ro diye
Ghunchaa kisii ne shaaKh se toRaa to ro diye

(naGhmaa : song; saaz : equipment; Ghunchaa : blossom; shaaKh : branch)

uRtaa hu’aa Ghubaar sar-e-raah dekh kar
anjaam ham ne ishq kaa sochaa to ro diye

(Ghubaar : dust; sar-e-raah : on the way; anjaam : result)

baadal fizaa meN aap kii tasviir ban gaye
saayaa ko’ii Khayaal se guzraa to ro diye

(fizaa : ambience; tasviir : image; saayaa : shadow; Khayaal : imagination)

rang-e-shafaq se aag shiGhuufoN meN lag gayii
“Saghar” hamaare haath se chhalkaa to ro diye

(rang-e-shafaq : colors of the rainbow; shiGhuufoN : bud, blossom)

0 comments:

Post a Comment