Sunday, 5 August 2012

Khvaab-nagar hai aaNkheN khole dekh rahaa huuN

Khvaab-nagar hai aaNkheN khole dekh rahaa huuN
us ko apnii jaanib aate dekh rahaa huuN

(Khvaab-nagar : city of dreams)

kis kii aahaT qarya qarya phail rahii hai
diivaaroN ke rang badalte dekh rahaa huuN

(qarya : villages and town)

kaun mire jaaduu se bach kar jaa saktaa hai!
aaiinaa huuN, sab ke chehre dekh rahaa huuN

darvaaze par tez havaaoN kaa pahraa hai
ghar ke andar chup ke saaye dekh rahaa huuN

jaise meraa chehraa mere dushman kaa ho
aaiine meN Khud ko aise dekh rahaa huuN

manzar manzar viiraanii ne jaal taane haiN
gulshan gulshan bikhre patte dekh rahaa huuN

manzil manzil hol meN Duubii aavaazeN haiN
rastaa rastaa Khauf ke pahre dekh rahaa huuN

shah’r sangdlaal (?) meN “Amjad” har raste par
aavaazoN ke patthar chalte dekh rahaa huuN

Amjad Islam Amjad

0 comments:

Post a Comment