terey hontoo.n pe tabassum ki wo halki si lakeer
merey takhayyul main reh reh k jhalak jaati hay
yoon achanak terey aariz ka khayyal aata hay
jaise zulmaat main koi shamma bharak uth'ti hay
terey pairahan-e rangee.n ki junoo.n khaiz mehek
khwaab ban ban k merey zeh'n main lehraati hay
raat ki sard khamoshi main har ik jhonkey sey
terey anfaas , terey jism ki aanch aati hay
main sulagtey howe raazoo.n ko ayaa.n tu kar doo.n
lekin in raazoo.n ki tash'heer sey dar lagta hay
raat k khwaab ujaley main bayaa.n tu kar doon
in hansee.n khwaboo.n ki tabeer sey dar lagta hay
teri sansoo.n ki thakan, teri nigahoo.n ka sokoot
dar-haqeeqat koi rangeen shararat hi na ho
main jise piyaar ka undaaz samajh betha hoon
wo tabassum, wo takallum teri aadat hi na ho
sochta hoon k tujhey mil k main jis soch main hoon
pehley us soch ka maqsoom samajh loon tu kahoo.n
main terey sheh'r main unjaan hoon, pardesi hoon
terey altaaf ka mafhoom samajh loon tu kahoo.n!
kahee.m aisa na ho paoo.n merey tharra jain
aur teri mar maree.n banhoo.n ka sahara na miley
ash behtey rahain khamoosh siyah raatoo.n main
aur terey raishmi anchal ka sahara na miley
0 comments:
Post a Comment