Wednesday 18 May 2011

meri nakaam mohabat

merii naakaam muhabbat kii kahaani mat chheR
apnii mayoos umaNgoN ka fasaanaa na sunaa
zindagii talKh sahii, zahar sahii, sitam* hi sahii
dard-o-aazaar sahii, jabr sahii, Gham hi sahii
lekin is dard-o-Gham-o-jabr kii vus’at ko to dekh
zulm kii chhaaNv meiN dam toRtii Khalqat ko to dekh
apnii mayoos umaNgoN ka fasaanaa na sunaa
merii naakaam muhabbat ki kahaanii mat chheR

jalsa-gaahoN meiN ye vahshat-zadah sahme aNboh
rahguzaaroN pe falaakat zadah logoN ke giroh
bhook aur pyaas se paz-murdah siyaah-faam zamiiN
teerah-o-taar makaaN, muflis-o-beemaar makeeN
nau’e-insaaN meiN ye sarmaayaa-o-mehnat ka tazaadd
aman-o-tahzeeb ke parcham tale qaumoN ka fasaad
har taraf aatish-o-aahan ka ye sailaab-e-azeem
nit naye tarz pe hoti huii duniyaa taqseem

lahlahaate hue khetoN pe javaani ka samaaN
aur dahqaan ke chhappaR meiN na battii na dhuaaN
ye falak-bos mileiN, dilkash-o-seemeeN baazaar
ye Ghalaazat ye jhapaT_te hue bhooke baazaar
door saahil pe vo shaffaaf makaanoN ki qataar
sarsaraate hue pardoN meiN simaT_te gulzaar
dar-o-deevaar pe anvaar ka sailaab ravaaN
jaise ik shaayar-e-madhosh ke KhwaaboN ka jahaaN

ye sabhii kyoN hai ye kyaa hai, mujhe kuchh sochne de
kaun insaaN ka Khudaa hai, mujhe kuchh sochne de
apni maayuus umangoN ka fasaanaa na sunaa
merii naakaam muhabbat ki kahaanii mat chheR

0 comments:

Post a Comment