Friday 21 February 2014

Khuda woh waqt na laaye keh sogwar ho too

Khuda woh waqt na laaye keh sogwar ho too 

Sakoon ki neend tujhay bhi haraam ho jaye 
Teri musarat-e-paiham tamam ho jaye 
Teri hayat tujhay talkh jaam ho jaye 

Ghamon say aaina-e dil gudaaz ho tera 

Hajoom-e-yaas say baitaab ho kay reh jaye 
Wafoor-e-dard say seemab hokay reh jaye 
Tera shabaab faqat khwaab ho kay reh jaye 

Gharoor-e-husn saraapa niaz ho tera 

Taweel raton main too bhi qaraar ko tarsay 
Teri nigah kisi ghamgusaar ko tarsay 
Khazan raseeda tamana bahar ko tarsay 

Koi jabeen na teray sang-e-aastan pay na jhukay 

Keh jins ajz-o-aqeedat say tujhay shaad karay 
Faraib-e-wahda-e-farda pay ahtmad karay 

Khuda woh waqt na laye keh tujh ko yaad aaye 

Woh dil keh teray liye beqarar ab bhi hay 
Woh aankh jis ko tera inteaar abb bhi hai

0 comments:

Post a Comment