Monday 20 June 2011

Miray dard ki jo dawa karay, koi aisa shaks hua karay

Miray dard ki jo dawa karay, koi aisa shaks hua karay
Wo jo bay panah udas ho, magar hijjer ka na gila karay

Miri chahatein, meri qurbattein, jisay yaad aaein qadam qadam
To wo sub say chup k libaas e shub mein lipat k aah o baka karay

Berhay us kay gham to qaraar kho day wo meray gham k khayal say
Utthein haath apnay liye to phir miray liye dua karay

Yeh qassus ajeeb o ghareeb hein yeh miri muhabbatoon k naseeb hein
Mujhay kaisay khud say juda karay, issay kuch batao k kia karay

Kabhi tay karay yun hi shoq shoq mein wo firaaq k faaslay
Miray peechay aa k dabay dabay miri aankhein muund hansa karay

Bara shor haymiray sheher mein kisi ajnabi k nuzul ka
Wo miri hi jaan na ho kaheen koi kuch to ja k pata karay

Yeh to meray dil hi ka aaqs hay mein nahin hoon per meri arzu
Ko junoon hay mujhay yeh bata day to phir jo chahay qaza karay

Bhala kaisay apnay hi aaqs ko mein rafiq e jaan bana sakoon
Koi aur ho to bata to day koi hay kaheen to sadaa karay

0 comments:

Post a Comment