Monday 20 June 2011

dil se teree nigaah jigar tak utar gayee

dil se teree nigaah jigar tak utar gayee
donoN ko ik adaa meiN razaamand kar gayee

shaq ho gaya hai seena, KHushee lazzat-e-firaaq
takleef-e-pardaadaari-e-zaKHm-e-jigar gayee

woh baada-e-shabaana kee sar mastiyaaN kahaaN ?
uThiye bas ab ki lazzat-e-KHwaab-e-sahar gayee

uDtee fire hai KHaak meree koo-e-yaar se
baare ab 'ei hawa, hawas-e- baal-o-par gayee

dekhooN to dil_farebi-e-andaaz-e-naqsh-e-pa
mauj-e-KHiraam-e-yaar bhee kya gul katar gayee

har bulhawas ne husn_parastee shiaar kee
ab aabru-e-sheva-e-'ehl-e-nazar gayee

nazzaare ne bhee kaam kiya waaN naqaab ka
mastee se har nigaah tere ruKH par bikhar gayee

farda-o-dee ka tafarqa yak baar mit gaya
kal tum gaye ke ham pe qayaamat guzar gayee

maara zamaane ne 'Asadullah KHaaN' tumhe
woh walwale kahaaN, woh jawaanee kidhar gayee ?

[GHALIB]

0 comments:

Post a Comment