Ahal-e-dil aur bhii hain ahal-e-vafaa aur bhii hain
ahal-e-dil aur bhii hain ahal-e-vafaa aur bhi hain
ek ham hi nahin duniyaa se Khafaa aur bhi hain
[ahal-e-dil = dil vaale; Khafaa = angry (with)]
kyaa huaa gar mere yaaron ki zabaanen chup hain
mere shaahid mere yaaron k sivaa aur bhi hain
[shaahid = one who bears witness]
ham pe hi Khatm nahin maslak-e-shoriidaa sari
chaak-e-dil aur bhi hain chaak-e-qabaa aur bhi hain
[maslak-e-shoriidaa_sarii = rebellious ways; qabaa = long gown]
sar salaamat hai to kyaa sang-e-malaamat ki kami
jaan baaqii hai to paikaan-e-qazaa aur bhii hain
[sang-e-malaamat = stones of accusations/reproach]
[paikaan = arrow; qazaa = death]
munsif-e-shahar ki vahadat pe na harf aa jaaye
log kahate hain
ke arabaab-e-jafaa aur bhii hain
[munsif = judge; vahadat = oneness, unity]
0 comments:
Post a Comment