kuch yadgar-e-shahar-e-sitamgar hi le chalen
aye hain is gali main to pathar hi le chalen
yun kis tarah katega kari dhup ka safar
sar par khayal-e-yar ki chadar hi le chalen
ranj-e-safar ki koi nishani to pas ho
thori si khak-e-kucha-e-dilbar hi le chalen
ye kah k cherti hai hamain dilgiraftagi
ghabra gaye hain ap to bahar hi le chalen
is shahar-e-becharag main jayegi tu kahan
aa aey shab-e-firaq tujhe ghar hi le chalen
'Nasir' kya kehta phirta hai kuch na suno to behatar hai
Divana hai divane ke monh na lago to behatar hai
Kal jo tha vo aaj nahi jo aaj hai kal mit jayega
Rokhi-sokhi jo mil jaye shukr karo to behatar hai
Kal ye taab-o-tavan na rahegi Thandaa ho jayega laho
Naam-e-Khuda ho javan abhi kuch kar guzaro to behatar hai
Kya jane kya rut badale halaat ka koi Thik nahi
Ab ke safar mein tum bhi Hamare sath chalo to behatar hai
Kapray badal kar baal bana kar kahan chale ho kis ke liye
Raat bohat kali hai 'Nasir' ghar mein raho to behatar hai
naye kapre badal kar jaun kahan aur bal banaun kis k liye
wo shakhs to shahar hi chor gaya ab khak uraun kis k liye
wo shakhs to shahar hi chor gaya ab khak uraun kis k liye
jis dhup ki dil ko thandak thi wo dhup usi k sath gai
in jalti bujhti galiyon main ab khak uraun kis k liye
in jalti bujhti galiyon main ab khak uraun kis k liye
wo shahar main tha to us k liye auron se milna parta tha
ab aise-waise logon k main naz uthaun kis k liye
ab aise-waise logon k main naz uthaun kis k liye
ab shahar main is ka badal hi nahi koi waisa jan-e-gazal hi nahi
aiwan-e-gazal main lafzon k guldan sajaun kis k liye
aiwan-e-gazal main lafzon k guldan sajaun kis k liye
muddat se koi aya na gaya sunsan pari hai ghar ki faza
in khali kamron main 'Nasir' ab shamma jalaun kis k liye
manuus ajnabi (a known stranger)
gaye dinon kaa suraagh lekar kidhar se aayaa kidhar gayaa vo
ajiib maanuus ajanabii thaa mujhe to hairaan kar gayaa vo
Khushii kii rut ho ke Gam kaa mausum nazar use Dhuundhtii hai har dam
vo buu-e-gul thaa ke naghmaa-e-jaan mere to dil mein utar gayaa vo
vo maikade ko jagaanevaalaa vo raat kii niind uraane vaalaa
na jaane kyaa us ke jii mein aaii ki shaam hote hii ghar gayaa vo
kuchh ab sambhalane lagii hai jaa.N bhii badal chalaa rang aasmaan bhii
jo raat bhaarii thii Tal gaii hai jo din karaa thaa guzar gayaa vo
shikastaa paa raah mein kharaa huun gaye dinon ko bulaa rahaa huun
jo qaafilaa meraa humsafar thaa misl-e-gard-e-safar gayaa vo
bas ek manzil hai bul_havas kii hazaar raste hain ahal-e-dil ke
ye hii to hai farq mujh mein us mein guzar gayaa main thahar gayaa vo
vo jis ke shaane pe haath rakh kar safar kiyaa tuune mannzilon kaa
terii galii se na jaane kyun aaj sar jhukaaye guzar gayaa vo
vo hijr ki raat kaa sitaara vo ham_nafas ham_sukhan hamaaraa
sadaa rahe us kaa naam pyaaraa sunaa hai kal raat mar gayaa vo
bas ek motii sii chhab dikhaakar bas ek miithii sii dhun sunaa kar
sitaaraa-e-shaam ban ke aayaa barang-e-Khayaal-e-sahar gayaa vo
na ab vo yaadon kaa charhtaa dariyaa na fursaton kii udaas barkhaa
yuun hii zaraa sii kasak hai dil mein jo zakhm gaharaa thaa bhar gayaa vo
vo raat kaa benavaa musaafir vo teraa shaayar vo teraa 'Nasir'
terii galii tak to ham ne dekhaa phir na jaane kidhar gayaa vo
Phir Sawan Rut Ki Pawan Chali Tum Yad Aye
phir sawan rut ki pawan chali tum yad ayephir patton ki pazeb baji tum yad aye
phir kunjen bolin ghas k hare samandar main
rut ai pile phulon ki tum yad aye
phir kaga bola ghar k sune angan main
phir amrat ras ki bund pari tum yad aye
pahle to main chikh k roya aur phir hansne laga
badal garja bijli chamaki tum yad aye
din bhar to main duniya k dhandhon main khoya raha
jab diwaron se dhup dhali tum yad aye
SHAAM-E-MULAQAAT
saya-e-zulf-e-butan main 'Nasir'
ek se ek nai rat ai
waqt acha bhi ayega 'Nasir'
gam na kar zindagi pari hai abhi