Wednesday, 7 January 2015

Husn Ki Jheel Ho Tum Aur Kinare Hain Ye Hont

Husn Ki Jheel Ho Tum Aur Kinare Hain Ye Hont,

Sach To Ye Hai K Mujhe Jan Se Pyare Hain Ye Hont,

Mein Ne Har Bar Mohabbat Se Inhain Chooma Hai,

Us Ne Har Bar Mohabbat Se Ubhare Hain Ye Hont,

Hath Honton Pe Mere Rakh K Mujhe Kehne Lage,

Rokiye In Ko Bahut Shoq K Mare Hain Ye Hont,

Band Hote Hain Ye Inkar Ki Sorat Mein Magar,

Adh Khile Hon To Mohabbat K Ishare Hain Ye Hont,

Aaj Khud Apne Muqadar Pe Mujhe Rashk Aya,

Aj Honton Mein Mere Us Ne Utare Hain Ye Hont,

Choom Kar Hont Mere Us Ne Kaha Tha Ye Qateel

Bas Tumhare Hain Tumhare Hain, Tumhare Hain Ye Hont............!

Halaat K Qadmon Par Qalandar Nahi Girta

Halaat K Qadmon Par Qalandar Nahi Girta,

Toote Jo Bhi Tara To Zameen Par nahi Girta,

Girte Hain Bare Shoq Se Samandar Mein Daria,

Lakin Kisi Daria Mein Samandar Nahi Girta,

Samjho Wahan Phaldar Shajar Koi Nahi Hai,

Wo Sehan K Jis Mein Koi Pathar Nahi Girta,

Hairan Hai Kai Roz Se Thehra Howa Pani,

Talaab Mein Ab Kion Koi Kankar Nahi Girta,

Is Banda-E-Khudar Pe Nabion Ka Hai Saya,

Jo Bhook Mein Bhi Luqma-E-Tar Par Nahi Girta,

Qaiam Hai Ab Ye Mere Sir K Saton Par qateel

Bhonchal Bhi Aaye To Mera Ghar Nahi Girta............

Jhoom K Jab Rindon Ne Pila Di


Jhoom K Jab Rindon Ne Pila Di,

Sheikh Ne Chupke Chupke Dua Di,


Ek Kami Thi Taaj Mahal Mein,

Hum Ne Teri Tasveer Laga Di,


Aap Ne Jhoota Wada Kar K,

Aaj Humari Umar Barha Di,


Teri Gali Mein Sajde Kar K,

Hum Ne Ibadat Gaah Bana Di,


               Jhoom K Jab Rindon Ne Pila Di............!


Udas Sham Kisi Khawab Mein Dhali To Hai

Udas Sham Kisi Khawab Mein Dhali To Hai,

Yehi Bahut Hai K Taza Hawa Chali To Hai,

Jo Apni Shaq Se Bahar Abhi Nahi Aai,

Nai Bahar Ki Zameen Wohi Kali To Hai

Dhowan To Jhoot Nahi Bolta Kabhi Yaro,

Humare Shaher Mein Basti Koi Jali To Hai,

Kisi K Ishq Mein Hum Jan Se Gaye Lekin,

Humare Naam Se Rasm-e-Wafa Chali To Hai,

Hazar Band Hon Dair-O-Haram K Darwaze,

Mere Liye Mere Mehboob Ki Gali To Hai........................!

Tum Bin Jiya Jaye Kaise

Tum Bin Jiya Jaye Kaise,

Kaise Jiya Jaye Tum Bin,

Sadion Si Lambi Hain Ratain,

Sadion Se Lambe Howay Din,

Aa Jao Lout Kar Tum Ye Dil Keh Raha Hai,

Phir Sham-E-Tanhai Jagi,

Phir Yad Tum Aa Rahe Ho,

Phir Jan Nikalne Lagi Hai,

Phir Mujh Ko Tarpa Rahe Ho,

Is Dil Mein Yadon K Mele Hain,

Tum Bin Bahut Hum Akele Hain.

Kia Kia Na Socha Tha Main Ne,

Kia Kia Na Sapne Sajaye,

Kia Kia Na Chaha Tha Dil Ne,

Kia Kia Na Arman Jagaye,

Is Dil Se Toofan Guzarte Hain,

Tum Bin To Jeete Na Marte Hain,

Aa Jao Lout Kar Tum Ye Dil Keh Raha Hai,

Tum Bin Jiya Jaye Kaise,

Kaise Jiya Jaye Tum Bin..............!

Reply to Ibn e insha's Insha g utho ab kooch kro

Ye Kis Ne Kaha Tum Kooch Karo Batein Na Banao Insha Jee,

Shehr Tumhara Apna Hai Isay Chor Na Jao Insha Jee,

Jitne Bhi Yahan K Baasi Hain Sab K Sab Tum Se Pyar Karein,

Kia In Se Bhi Moonh Phero Gay,?

Ye Zulam Na Dhao Insha Jee,

Kia Soch K Tum ney Sainchi Thi,

Ye Kaisi Kiyari Chahat Ki,

Jin Ko Hansane Aaye Thay,

Unko Na Rulao Insha Jee,

Laakh Siyahat K Ho Dhani,

Ek Bat Humari Maano,

Koi Ja K Jahan Se Aata Nahi,

Us Deis Na Jao Insha Jee,

Bikhairte Ho Sona Harfon Ka,

Tum Chandi Jaise Kaghazon Par,

Phir In Mein Apne Zakhmon Ka,

Mat Zehr Milao Insha Jee,

Rat To Kia Wo Hashar Talak Rakhe Gi Khula Darwaze Ko,

Kab Lout K Tum Ghar Aao Gay Sajni Ko Batao Insha Jee,

Nahi Sirf QATEEL Ki Bat Yahan Kahein SAHIR Hai Kahein Aali Hai,

Tum Apne Purane Yaron Daman Na Churao Insha Jee...............!


Ye Mojza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhe

Ye Mojza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhe,

K Sang Tujh Pe Gire Aur Zakham Aaye Mujhe,

Main Ghar Se Teri Tamana Pehn K Jab Niklon,

Barhna Shehr Mein Koi Nazar Na Aaye Mujhe,

Wohi To Sab Se Ziada Hai Nuqta Cheen Mera,

Jo Muskara K Humesha Gale Lagaye Mujhe,

Wo Mera Dost Hai Sare Jahan Ko Hai Maloom,

Dagha Kare Wo Kisi Se To Sharm Aaye Mujhe,

Main Apni Zaat Mein Neelaam Ho Raha Hoon Qateel

Gham-E-Hayat Se Keh Do Khareed Laye Mujhe...............!

Sar-E-Toor Ho Sar-E-Hashar Ho

Sar-E-Toor Ho

Sar-E-Hashar Ho


Humain Intazar Qabool Hai


Wo Kabhi Milein,

Wo Kahein Milein,


Wo Kabhi Sahi,

Wo Kahein Sahi,


Mera Un Pe Jo Bas Nahi

To Na Sahi,


K Ye Aashqi Hai Hawas Nahi,


Main Unhi Ka Tha,

Unhi Ka Hon,


Wo Mere Nahi To Na Sahi,

Jo Ho Faisla Wo Sunaiye,


Isay Hashar Pe Na Uthaiye,

Jo Karein Gay Aap Sitam Wahan,


Wo Abhi Sahi,

Wo Yahein Sahi,


Usay Dekhne Ki Jo Lo Lagi,

To Dekh Hi Lein Gay QATEEL Hum,


Wo Hazar Aankh Se Door Hon,

Wo Hazar Parda Nasheen Sahi.............!

Kab Talak Shamma Jali Yaad Nahi

Kab Talak Shamma Jali Yaad Nahi


Shaam-e-Gham Kaisay Dhali Yaad Nahi,


Is Qadar Yad Hai Apne Thay Sabhi,


Kis Ne Kia Chaal Chali Yad Nahi,


Hum Zamane Mein Kuch Aise Bhatke,


Ab To Un Ki Bhi Gali Yad Nahi,


Abar Tha Jaam Tha Par Aap Na Thay,


Wo Ghari Kaise Tali Yad Nahi,


Kat Gai Umar Kis Tarha Qateel,


Wo Buri Thi K Bhali Yad Nahi.............!

Phir uski har adaa sey chalakney lga khaloos


main qaabil e nafrat hun



Koi taveez ho rad e blaa ki


Ja mohabbat tjhey maaf kia


Chahat itni mukhtasir jana


Tuesday, 6 January 2015

Khawabon Ki Ek Basti Thi

Khawabon Ki Ek Basti Thi

Ek Larki Us Mein Basti Thi

Apne Ghar K Aangan Mein

Kuch Sapne Boya Karti Thi

Apne Kamre Ki Khirki Mein,

Boondon Se Khela Karti Thi,

Sab K Samne Hansti Thi,

Chup Chup K Roya Kati Thi,

Khud Se Kurhti Rehti Thi,

Sakhion Se Kuch Na Kehti Thi,

Chand Ko Ghanton Ghoorte Rehna,

Phir Khud Se Baten Karti Thi,

Dekhne wali Sab Aankhon Ko,

Kaanch Ki Guria Lagti Thi,

Toot Chuki To Sab Ne Jana,

Pyar Wo Kisi Se Karti Thi................!

Kuliat-E-Insha

Tamam Log Akele Thay Rahbar Hi Na Tha

Tamam Log Akele Thay Rahbar Hi Na Tha,

Bichrne Walon Mein Ek Mera Hum Safar Hi Na Tha,

Barhana Shakhon Ka Jangal Garra Tha Aankhon Mein,

Wo Rat Thi K Kahein Chand Ka Guzar Hi Na Tha,

Tumhare Shehr Ki Chaon Mehrbaan Thi Magar,

Jahan Pe Dhoop Karri Thi Wahan Shajar Hi Na Tha,

Samet Leti Shikasta Gulab Ki Khushbo,

Hawa K Hath Mein Aisa Koi Hunar Hi Na Tha,

Main Itne Sanpon Ko Raste Mein Dekh Aai Thi

K Tere Shehr Mein Pohnchi To Koi Dar Hi Na Tha,

Kahan Se Aati Kiran Zindagi K Zindaan Mein,

Badan Mein Phail Gia Surkh Beil Ki Manid,

Wo Zakham Sookhta Kia Jis Ka Chara Gar Hi Na Tha

Hawa K Laye Howay Beej Phir Hawa Ko Gaye,

Khile Thay Phool Kuch Aise K Jin Mein Zar Rahi Na Tha,

Qadam To Reit Pe Sahil Ne Bhi Na Rakhne Dia,

Badan Ko Jakre Howay Sirf Ek Bhanwar Hi Na Tha....!

Qadmon Mein Thakan Thi Ghar Bhi Qareeb Tha,

Qadmo Mein Thakan Thi Ghar Bhi Qareeb Tha,

Par Kia Karein K Ab K Safar Hi Ajeeb Tha,

Nikle Agar To Chand Dareeche Mein Ruk Bhi Jaye,

Is Shehr-E-Be Chargh Mein Kis Ka Naseeb Tha,

Aandhi Ne Un Rutton Ko Bhi Be Taaj Kar Dia,

Jin Ka Kabhi Huma Sa Parinda Naseeb Tha,

Kuch Apne Aap Se Hi Usay Kashmakash Na Thi,

Mujh Mein Koi Shakhs Usi Ka RaqEEb Tha,

Pocha Kisi Ne Mool To Hairan Reh Gia,

Apni Nigah Mein Koi Kitna Ghareeb Tha,

Maqtal Se Aane Wali Hawa Ko Bhi Kab Mila,

Aisa Koi Dareecha K Jo Be Suleeb Tha..................!

Qaid Mein Guzre Gi Jo Umar Bare Kaam Ki Thi

Qaid Mein Guzre Gi Jo Umar Bare Kaam Ki Thi,


Par Main Kia Karti K Zanjeer Tere Naam Ki Thi,

Jis K Maathe Pe Mere Bakht Ka Tara Chamka,

Chand K Doobne Ki Bat Usi Shaam Ki Thi,

Main Ne Hathon Ko Hi Patwar Banaya Warna,

Aik Tooti Hoi Kashti Mere Kis Kaam Ki Thi,

Wo Kahani K Abhi Soiyan Nikli Bhi Na Thein,

Fikar Har Shakhs Ko Shazadi K Anjam Ki Thi,

Ye Hawa Kaise Urra Le Gai Aanchal Mera,

Youn Satane K To Aadat Mere Ghansham Ki Thi,

Bojh Uthaye Howay Phirti Hai Humara Ab Tak,

Aye Zameen Maaan! 

Teri Ye Umar To Aaram Ki Thi..........!

Shab main thin to wo bhi saba misaal hi tha

Sahab Mein Thi To Wo Bhi Saba Misal Hi Tha,

Kisi K Waste Rukna Zara Mohal Hi Tha,

Hazar Aaine Jis Jahon Rokish-E-Khursheed,

Nigah Bhar K Usay Dekhna Kamal Hi Tha,

Ye Kia K Hilne Lage Qasar-O-Kakh Parvezi,

Gada-E-Ishq K Kaise Mein Ek Sawal Hi Tha,

Bichar K Wo Mujhe Louta Gia Hai Mera Wajood,

Ye Saneha Mere Haq Mein To Nek Faal Hi Tha,

Parinda Apni Raza Se Zameen Par Utra,

Wagarna Aisi Hawa Thi Na Aisa Jaal Hi Tha,

Haraa Rakha Mujhe Jis Ne Ba Wasaf-E-Chara Garan,

Wo Mojza Mera Nidooh-E-Anadmal Hi Tha................!

Kabhi kitabon me phool rakhna kabhi darkhton pey naam likhna

ﮐﺒﮭﯽ ﮐﺘﺎﺑﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﭘﮭﻮﻝ ﺭﮐﮭﻨﺎ
ﮐﺒﮭﯽ ﺩﺭﺧﺘﻮﮞ ﭘﮧ ﻧﺎﻡ ﻟﮑﮭﻨﺎ
ﮨﻤﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﮨﮯ ﯾﺎﺩ ﺁﺝ ﺗﮏ ﻭﮦ
ﻧﻈﺮ ﺳﮯ ﺣﺮﻑ ﺳﻼﻡ ﻟﮑﮭﻨﺎ
ﻭﮦ ﭼﺎﻧﺪ ﭼﮩﺮﮮ ﻭﮦ ﺑﮩﮑﯽ ﺑﺎﺗﯿﮟ
ﺳﻠﮕﺘﮯ ﺩﻥ ﺗﮭﮯ ﻣﮩﮑﺘﯽ ﺭﺍﺗﯿﮟ
ﻭﮦ ﭼﮭﻮﭨﮯ ﭼﮭﻮﭨﮯ ﺳﮯ ﮐﺎﻏﺬﻭﮞ ﭘﺮ
ﻣﺤﺒﺘﻮﮞ ﮐﮯ ﭘﯿﺎﻡ ﻟﮑﮭﻨﺎ
ﻣﺮﮮ ﻧﮕﺮ ﮐﯽ ﺣﺴﯿﮟ ﻓﻀﺎﺅ
ﮐﮩﯿﮟ ﺟﻮ ﺍﻥ ﮐﺎ ﻧﺸﺎﻥ ﭘﺎﺅ
ﺗﻮ ﭘﻮﭼﮭﻨﺎ ﯾﮧ ﮐﮩﺎﮞ ﺑﺴﮯ ﮨﻮ
ﮐﮩﺎﮞ ﮨﮯ ﺍﻥ ﮐﺎ ﻗﯿﺎﻡ ﻟﮑﮭﻨﺎ
ﮐﮭﻠﯽ ﻓﻀﺎﺅﮞ ﻣﯿﮟ ﺳﺎﻧﺲ ﻟﯿﻨﺎ
ﻋﺒﺚ ﮨﮯ ﺍﺏ ﺗﻮ ﮔﮭﭩﻦ ﮨﮯ ﺍﯾﺴﯽ
ﮐﮧ ﭼﺎﺭﻭﮞ ﺟﺎﻧﺐ ﺷﺠﺮ ﮐﮭﮍﮮ ﮨﯿﮟ
ﺻﻠﯿﺐ ﺻﻮﺭﺕ ﺗﻤﺎﻡ ﻟﮑﮭﻨﺎ
ﮔﺌﯽ ﺭﺗﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺣﺴﻦ ﮨﻤﺎﺭﺍ
ﺑﺲ ﺍﯾﮏ ﮨﯽ ﺗﻮ ﯾﮧ ﻣﺸﻐﻠﮧ ﺗﮭﺎ
ﮐﺴﯽ ﮐﮯ ﭼﮩﺮﮮ ﮐﻮ ﺻﺒﺢ ﮐﮩﻨﺎ
ﮐﺴﯽ ﮐﯽ ﺯﻟﻔﻮﮞ ﮐﻮ ﺷﺎﻡ ﻟﮑﮭﻨﺎ

wajood apna na rooh apni

وجود اپنا، نہ روح اپنی

بس اک تماشہ یہ زیست ٹھہری

نہ دل لگی میں سکون پایا

نہ عاشقی میں قرار پایا

نہ وصال لمحے یہ راس آئے

نہ ہجر ہی ہم گُزار پائے

عجیب چاہت کے مرحلے ہیں

نہ جیت پائے، نہ ہار پائے

نہ تیری یادوں کی دُھند اُتری

نہ دل کے دامن کو جھاڑ پائے

نہ آنکھیں خوابوں کو ڈھونڈ پائیں

نہ خواب آنکھوں کو ڈھونڈ پائے

عجب تماشہ یہ زیست ٹھہری

وجود اپنا، نہ روح اپنی....

Ye hawaa kaise urraa le gayi aanchal mera


Ye hawaa kaise urraa le gayi aanchal mera..!!??
Yu'n sataane ki aadat toh mere Ghanshyaam ki thi

Tarash Kar Mere Bazoo Uraan Chor Gaya


Tarash Kar Mere Bazoo Uraan Chor Gaya

Hawa Ke Paas Barhana Kaman Chor Gaya

Rafaqton Ka Meri Us Ko Dehaan Kitna Tha

Zameen Ley Li Magaer Aasmaan Chor Gaya

Ajeeb Shakhs Tha, Barish Ka Rang Dekh Ke Bhi

Khule Dareeche Pe Ik Phool_Dan Chorr Gaya

Jo Badloon Se Bhi Mujh Ko Chupaye Rakhta Tha

Barhi Hai Dhoop To Be_Saibaan Chor Gaya

Nikal Gaya Kahin An_Dekhe Paniyon Ki Taraf

Zameen Ke Naam Khula Badbaan Chor Gaya

Uqaab Ko Thi Gharz Fakhta Pakarne Se

Jo Gir Gai To Yunhi Neem Jaan Chor Gaya

Najane Kon Sa Aasaib Dil Mein Basta Hai

Ke Jo Bhi Thehra Wo Aakhir Makaan Chor Gaya

Aqab Me Gehra Samandar Hai, Saamne Jangal

Kis Inteha Pe Mera Meharban Chor Gaya


Book name: Dash e tanhai..

Bol Hawa Us Paar Zamane Kaise Hain?

Bol Hawa Us Paar Zamane Kaise Hain?

Ujre Shehr Mein Yar Purane Kaise Hain?

Chand Utarta Hai Ab Kis Kis Aangan Mein?

Kirno Se Mehroom Gharane Kaise Hain?

Lab Basta Darwazon Par Kia Beet Gai,

Galion Se Mansoob Afsane Kaise Hain?

Zehr Ugalte Sanpon Ki Phinkar Talle?

Weerano Mein Dafan Khazane Kaise Hain?

Jin Ki Chaak Qameezain Tere Hath Lagein,

Khaak Pehnte Wo Deewane Kaise Hain?

Jin K Jhurmat Mein Shammain Dam Tor Gaien,

Wo Pyare, Pagal Parwane Kaise Hain,

MOHSIN To Hum Khair Khabar Se Dar Guzar Ne,

Apne Ghar K Log Najane Kaise Hain...............!

kaafi hai mery jeeney ko

Kaafi hai merey jeeney ko.......
Bs pyaar tumhaara thorra sa

Ye Khamoshi Jo Ab Ke


Ye Khamoshi Jo Ab Ke Guftogu Ke Bech Thehri Hai
Yehi Ek Bat Sari Guftogu Main Sab Se Gehri Hai