Wednesday 19 February 2014

wo zakhm de k mujhe hosla bhi deta hai

Fiza Ka Habs Shagoofoon ko baas kaya de ga ?
badan dareeda kissi ko libaas kaya de ga ?

ye dil k qehat e ana say ghareeb thehra hai !
meri zubaa'n ko zar e altaamas kaya de ga ?

jo de saka na paharoo'n ko baraf ki chadar !
wo meri baanjh zamee'n ko kapaas kaya de ga ?

ye shehar, yun bhi tu deh-shat bhara nagar hai, yahaa'n !
diloo'n ka shor hawa ko haraas kaya de ga ?

wo zakhm de k mujhe hosla bhi deta hai !
ab ess se barh k tabiyaat shanaas kaya de ga ?

jo apni zaat se bahir aa na saka ab tak !
wo pathro'n ko mata e hawaas kaya de ga ?

wo mere ashk bujhaaye ga kis tarhaa'n MOHSiN ?
samandaro'n ko wo sehra ki pyaas kaya de ga ?

0 comments:

Post a Comment