Wednesday 19 February 2014

tujhe ruswai ka dar hai na aya kar

tujhe ruswai ka dar hai na aya kar
bichar jana he behtar hai na aya kar

guzar ja ayienay jesa badan le kar
yahan her aankh pathar hai na aya kar

kisi shadab kariye men basa khud ko
ye dil ujra hua ghar hai na aya kar

mera dukh tujh ko bhi ik din dabo de ga
bohat gehra samander hai na aya kar

khushi ki rut men MOHSiN ko mana lena
ye fasl-e-deeda-e-tar hai na aya kar

0 comments:

Post a Comment