Saturday, 22 February 2014

Tere gham ko jan ke talash thi tere jan-nisar chale gaye

Tere gham ko jan ke talash thi tere jan-nisar chale gaye
teri rah mein karte the sar talab sar-e-rah-guzar chale gaye
teri kaj-adai se haar ke shab-e-intazar chali gai
mere zabt-e-hal se ruth kar mere gam-gusar chale gaye
na saval-e-vasl na arz-e-gam na hikayaten na shikayaten
tere ahad mein dil-e-zar ke sabhi ikhtiyar chale gaye
ye hamin the jin ke libas par sr-e-rah siyahi likhi gai
yahi daag the jo saja ke hum sar-e-bazm-eyar chale gaye
na raha junun-e-rukh-e-vafa ye rasan ye dar karoge kya
jinhen jurm-e-ishq pe naz tha wo gunahagar chale gaye

0 comments:

Post a Comment