Thursday 20 February 2014

Lutf vo ishq main paye hain ki ji janta hai

Lutf vo ishq main paye hain ki ji janta hai
ranj bhi itne uthaye hain k ji janta hai

jo zamane k sitam hain vo zamana jane
tune dil itne dukhaye hain k ji janta hai

tum nahin jante ab tak ye tumhare andaz
vo mere dil main samaye hain ki ji janta hai

inhin qadmon ne tumhare inhin qadmon ki qasam
khak main itne milaye hain k ji janta hai

dosti main teri darparda hamare dushman
is qadar apne paraye hain k ji janta hai

muskurate hue wo majma-e-aghyar k sath
aaj yun bazm main aaye hain k ji janta hai

daag waarafta ko ham aaj tere kooche se
is tarah khench ke laaye hain k ji jaanta hai

0 comments:

Post a Comment