Thursday, 20 February 2014

Hum buton ko jo pyaar kerte hain naqal e parwrdigar kerte hain

Zulf e barham sambhal ker chalye rasta dekh bhal ker chalye
Mosam e gul he apni baho ko meri baho me dalker chalye

Misaal o mahwra hone se pehle khuda kya tha khuda hone se pehle
Tabiyat ko tabiyat se badal lo tabiyat aashna hone se pehle

Baja hone ki he sirf ek soorat ghalat ho ja baja hone se pehle
Muskura ker khitab krte ho aadaten q khrab kerte ho

Ho chuka jo hisab hona he or ab kya hisab kerte ho
Ye nayi ehtiyat dekhi he aaine se hijab kerte ho

Ek din ae adam na pee tu kya roz shaghal e sharab kerte ho
Roshni ko sharab kehte hain jaam ko aftaab kehte hain

Rukh ko parday me dhanpne walo husn ko be naqab kehte hain
Jin k dil aaina sifat ho adam un ko ehl ekitab kehte hain

Hum buto ko jo pyaar kerte hain naqal e parwrdigar kerte hain
Kya mohabbat b koi paisha he log q itne pyaar kerte hain

Itni qasmain na khao ghabra ker jao hum aetbar kerte hain
Ab bhi aa jao kuch ni bigra ab b hum intezar kerte hain

Dushmani ghair tu ni kerte ye sharafat tu yaar kerte hain
Tu khafa ho ya khush mgr hum tu waqai tujh se pyaar kerte hain

Khobiyun ko b qadardan e adam khamiyun me shumaar kerte hain
Saaz e hasti baja raha ho me chashm e masti mana raha ho me

Kya ada he nisar hone ki un se pehlo bacha raha ho me
Kitni pukhta he meri nadani tujh ko tujh se chupa raha ho

Dil dobota ho chashm e saqi me mae ko mae me mila raha ho me
Ap ko jitne k dhoke me jaan ki bazi laga raha ho me

Un ko milne ki aarzo me adam apne nazdik aa raha ho me
Hum buto ko jo pyaar kerte hain naqal e parwrdigar kerte hain

0 comments:

Post a Comment