Thursday 20 February 2014

Har ek zakham ka chehra gulaab jaisa hai

Har ek zakham ka chehra gulaab jaisa hai
Magar ye jaagta manzar bhi khawab jaisa hai

Ye talkh talkh sa lehja, ye taiz taiz si baat
Mizaaj e yaar ka aalam sharaab jaisa hai

Bara ta’aweel nahayat haseen bohat mubham
Mera sawaal tumharey jawab jaisa hai

Tu zindagi k haqyaaq ki teh mein youn na utar
K is nadi ka bahaao Chana’aa jaisa hai

Teri nazar hi nahi haraf aashna warna
Har ek chehra yahaan kitaab jaisa hai

Chamak uthey to samundar, bujhey to rait ki lehar
Merey khayal ka darya saraab jaisa hai

Terey qareeb bhi reh kar na paa sakun tujhko
Terey khayal ka jalwa hubaab jaisa hai.

0 comments:

Post a Comment