Tuesday, 14 June 2011

tere honton pe tabassum ki woh halki si lakeer

http://www.pakistanigurls.com/wp-content/uploads/2009/10/fake-fuller-lips.jpgtere honton pe tabassum ki woh halki si lakeer
mere takhaiyal mein reh reh k jhalak uthti hai
youn achanak tere aariz ka khiyal ata hai
jaisey zulmat mein koi shama bhadak uthti hai


tere pairahan-e- rangeen ki juno khaiz mehak

khawab ban ban k mere zehan mein lehrati hai
rat ki sard khamoshi mein har aik jhonkey se
tere anfaas tere jisam ki aanch ati hai

mein sulagte howey raazon ko ayaan to kar doon

lekin in raazon ki tash,heer se ji darta hai
raat k khwab ujale mein byaan to kar doon
in khawabon ki tabeer se ji darta hai

teri sanson ki thakan teri nigahon ka sakoot

darhaqeeqat koi rangeen shararat he na ho
mein jisey pyar ka andaz samajh baitha hoon
woh tabassum woh takallum teri adat he na ho

sochta hoon k tujh se mil k mein jis soch mein hoon

pehle is soch ka maqsoom samajh loon to kahun
mein tere shehar mein anjan hoon pardesi hoon
tere altaaf ka mafhoom samajh loon to kahun

kahein aisa na ho paon mera thara jai

aor teri marmarein banhon ka sahara na mile
ashk behte rahein khamosh siyah raton mein
aor tere raishmi anchal ka kinara na nile

0 comments:

Post a Comment