Monday 20 June 2011

taab nahiiN, sukuuN nahiiN, dil nahiiN ab jigar nahiiN

taab nahiiN, sukuuN nahiiN, dil nahiiN ab jigar nahiiN
apnii nazar kidhar uThThe ko’ii idhar udhar nahiiN

(taab : strength; sukuuN : quietude)

roz-o-shab uThte baiThte un kii zubaaN par nahiiN
ko’ii nahiiN kii hadd nahiiN, shaam nahiiN sahar nahiiN

(roz-o-shab : day and night; hadd : limit; sahar : dawn)

ko’ii yahaaN se chal diyaa raunaq-e-baam-o-dar nahiiN
dekh rahaa huuN ghar ko maiN ghar hai magar vo ghar

(raunaq : charm; baam : terrace; dar : door)

itnii Khabar to hai zaruur, le gaye dil vo chhiin kar
kyaa hu’aa us kaa phir maal, us kii mujhe Khabar nahiiN

kyuuN vo idhar udhar phire, kyuuN ye huduud meN rahe
terii nazar to hai nazar, merii nazar nazar nahiiN

(huduud : boundary)

mujh se bigaR kar apne ghar jaaiye, Khair jaaiye
aap ne ye samajh liyaa aah meN kuch asar nahiiN

dair ko ham ghaTaayeN kyuuN, Ka’abe ko ham baRhaayeN kyuuN
kyaa hai Khudaa kaa ghar yahii, kyaa vo Khudaa kaa ghar nahiiN

(dair : temple; Ka’abaa : holiest place of worship for Muslims)

parde se baahar aaiye, ruKh se niqaab uThaaiye
taab-e-jamaal laa sake, itnii merii nazar nahiiN

(pardaa : mask; ruKh : face; niqaab : veil; jamaal : elegance)

mujh ko Khayaal roz-o-shab Khaak rahe mazaar meN
aisii jagah huuN jis jagah shaam nahiiN, sahar nahiiN

(Khaak : dust; mazaar : grave)

teGh kahuu, sinaaN kahuu, qah’r kahuu, balaa kahuu
ahl-e-nazar kii raaye meN unkii nazar nazar nahiiN

(teGh : sword; sinaaN : spear-head; qah’r : vehemence; balaa : 
 affliction; ahl-e-nazar : experts; raaye : opinion)

daR gaye ahl-e-anjuman tiir jo aap kaa chalaa
us ne kahaa idhar nahiiN, us ne kahaa udhar nahiiN

(ahl-e-anjuman : attendees of a gathering)

roz ke Gham ne is tarah Khuugar-e-zabt-e-Gham kiyaa
dard hamaare dil meN hai, shikvaa zubaan par nahiiN

(Khuugar : ? ; zabt-e-Gham : patience during suffering; shikvaa : complaint)

puuchte haiN vo haal-e-dil tuul-e-suKhan se faaydaa
so kii ye aik baat hai, kah duuN mujhe Khabar nahiiN

(haal-e-dil : state of the heart; tuul-e-suKhan : long talk)

un meN kuch aur baat thii un meN kuch aur baat hai
Hazrat-e-”Nooh” kaa gumaaN Hazrat-e-”Nooh” par nahiiN

(gumaaN : conjecture)
                                         Nooh Narvi

0 comments:

Post a Comment