Silsilay tor gaya wo sabhi jatay jatay..
Warna itnay toh marasim thay k aatay jatay..
Shikw'a zulmat'a shab sey to kahien behtar tha..
Apne hissay ki koi shama jalatay jatay..
Kitna aasan tha tere hijar mein marna jan'na..
Phir bhi ik umar lagi jaan sey jatay jatay..
Us ki wo jane usay pas'a wafa tha k na tha..
Tum Faraz apni tarf sey to nibhatay jatay..