Showing posts with label Munir Niazi. Show all posts
Showing posts with label Munir Niazi. Show all posts

Saturday, 18 June 2011

Kitab-e-umar ka ik aur baab khatam howa

Kitab-e-umar ka ik aur baab khatam howa
Shabab khatam howa ik azab khatam howa


Hoi nejat safar main faraib-e-sehra say

Sarab khatam howa izterab khatam howa


Baras kay khol gya badal hawaye shab ki tarah

Falak pe barq ka woh paich-o-taab khatam howa


Jawab woh na raha main kisi kay aage "MUNIR"

Woh ik sawal or is ka jawab khatam howa

hawa ki awaz

hawa ki awaz
khushk paton ki sarsarahat se bhar gai
rosh-rosh par fatada phulon ne
lakhon nauhe jaga diye hain
sileti shuayen
buland peron par gul machate
siyah kawon ki qafilon se ati hui hain
har ek janib khizan k qasid lapak rahe hain
har ek janib khizan ki awaz gunjati hai
         har ek basti kashkash-e-marg-o-zindagi se nidhal hokar
                                 musafiron ko pukarti hai k- ao
              mujh ko khizan k bemahar
                                         talKh ehsas se bachao
aik nagar ke naqsh bhula don aik nagar ejad karon
aik taraf khamoshi kar don aik taraf abad karon

Torana Tute Huye Dil Ka Bura Hota Hai

Torana Tute Huye Dil Ka Bura Hota Hai

Torana tute huye dil ka bura hota hai
jis ka koi nahi us ka to Khuda hota hai
Mang kar tum se Khushi lun mujhe manzur nahi
kis ka mangi hui daulat sebhala hota hai
Log nahak kisi majabur ko kahate hain bura
adami achche hain par waqt bura hota hai
Kyon "Munir" apani tabahi ka ye kaisa shikawa
jitana taqadir may likha hai ada hota hai

jab meraa jii chaahe main jaaduu ke khel dikhaa saktaa hun

jab meraa jii chaahe main jaaduu ke khel dikhaa saktaa hun
aandhii ban kar chal saktaa hun, baadal ban kar chhaa sakta hu
 

haath ke aik ishaare se paanii meN aag lagaa saktaa huuN
raakh ke DheR se taazah rangoN-vaale phuul ugaa saktaa huuN
 

itne uuNche aasmaan ke taare toR ke laa saktaa huuN
merii umr to bas aise hii khel dikhaate guzrii hai
 

apnii saaNs ke shoaloN se gulzaar khilaate guzrii hai
jhuuTii sacchii baatoN ke baazaar sajaate guzrii hai
 

patthar kii diivaaroN ko sangiit sunaate guzrii hai
apne dard ko duniyaa kii nazroN se chhupaate guzrii hai